Ads 468x60px

Labels

Bvsakhil HeadLines

Sunday, October 2, 2011

Rockstar Hindi Songs Lyrics (All Songs)

 Song Name : Aur Ho
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : Mohit Chauhan, Alma Ferovic
Lyricist : Irshad Kamil


Lyrics :
Meri bebasi ka bayaan hai, bas chal raha na iss ghadi
meri bebasi ka bayaan hai, bas chal raha na iss ghadi
ras hasrat ka nichod doon
kas baahon mein aa todh doon
chahoon kya jaanu naa
chheen loon chhod doon
iss lamhe kya kar jaaun
iss lamhe kya kar jaaun
iss lamhe ko kar doon main jo mujhe chain mile aaraam mile
aur ho aur ho saans ka shor ho aanch ki ore badhe
aur ho aur ho saans ka shor ho taap ki ore chadhe
aur ho aur ho aur mile hum more bhi jal jaaye
tujhe pehli baar main milta hoon har dafaa
meri bebasi ka bayaan hai

Tujhe chhen loon ya chhod doon
tujhe maang loon ya mod doon
iss lamhe kya kar jaaun
iss lamhe kya kar doon jo mujhe chain mile aaram mile

Aur ho aur ho saans ka shor ho aanch ki ore badhe
aur ho aur ho saans ka shor ho taap ki ore chadhe
aur ho aur ho aur mile hum more bhi jal jaaye

Le le le .., jiya jiya .. piya piya .. hey ..

Main hasrat mein ek uljhi dor hua
suljha de ho ho
main dastak hoon tu bandh kiwaado sa
khul ja re ho
o bebasi mann mein basi aa jeete jeete jee le sapna

Aur ho aur ho saans ka shor ho aanch ki ore badhe
aur ho aur ho saans ka shor ho taap ki ore chadhe
aur ho aur ho aur mile hum more bhi jal jaaye

Ruke se naa ruke
yeh naa thake
aandhi si jo chale, inn saanson ki
pata bhi naa chale, kahaan pe kya jale
hai darr se, tann-mann ki, sihran se
hasrat ki, sulgan se
bhadke aur shola shola jale bujhe dhuaan dhuaan oh
dhuaan dhuaan lagey mujhe dhuaan dhuaan oh

Meri bebasi ka bayaan hai
meri bebasi ka bayaan hai
meri bebasi ka bayaan hai

   
Song Name : Saadda Haq
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : Mohit Chauhan
Lyricist : Irshad Kamil

Lyrics :
Tum logon ki, iss duniya mein
har kadam pe, insaan galat
main aisa hi samaj ke jo bhi kahoon
tum kehte ho galat, main galat hoon phir kaun sahi (phir kaun sahi)
marzi se jeene ki bhi main
kya tum sabko main arzi doon
matlab ki tum sabka mujhpe
mujhse bhi zyada haq hai
saadda haq, aithe rakh

Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
na na na ..
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh

Hey inn gadaaron mein ya udhaaron mein
tum mere jeenay ki aadat ka kyun gott rahe dum
besali ka main, uss gali ka main
na jis mein haya, na jis mein sharam
mann bole ke ras mein jeenay ka harjaana duniya dushman
sab begaana inhe aag lagaana
mann bole mann bole, mann se jeena ya marr jaana

Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
na na na ..

O eco-friendly, nature ke rakshak, main bhi hoon nature
rivaazon se, samaajhon se kyon
tu kaate mujhe, kyun baante mujhse iss tarah
kyun sach ka sabak sikhaaye, jab sach sunn bhi na paaye
sach koi bole toh tu niyam kanoon bataaye
tera darr, tera pyaar, teri waah, tu hi rakh (rakh saale)
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
aithe aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh
Saadda haq, aithe rakh...saadda haq, aithe rakh

Song Name : Nadaan Parindey
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : A. R. Rahman, Mohit Chauhan
Lyricist : Irshad Kamil

Lyrics :
O nadaan parindey ghar aaja
o nadaan parindey ghar aaja
o nadaan parindey ghar aaja
ghar aaja, ghar aaja, ghar aaja aa ..

Kyun desh-videsh phire maara
kyun haal-vihaal thaka haara
kyun desh-videsh phire maara
tu raat-biraat ka banjara
o nadaan parindey ghar aaja
ghar aaja, ghar aaja, ghar aaja aa ..
nadaan parindey ghar aaja..nadaan parindey ghar aaja
nadaan parindey ghar aaja..nadaan parindey ghar aaja
sau dand badan pe phaile hain, har karam ke kapde maile hain

Kaate chahe jitna, paro se hawaon ko
khud se naa bach paayega tu
todh aasmano ko, phook de jahaano ko
khud ko chhupa naa payega tu
koi bhi le rasta, tu hai tu le hasta
apne hi ghar aayega tu

O nadaan
o nadaan parindey ghar aaja
ghar aaja, ghar aaja ghar aaja aa ..
nadaan parindey ghar aaja..nadaan parindey ghar aaja
nadaan parindey ghar aaja..nadaan parindey ghar aaja

Dagar kagar mori itni araz tose chun chun khaiyo maans
dagar kagar mori itni araz tose chun chun khaiyo maans
re jiya re khaiyon na tu naina mor
khaiyon na tu naina mor
piya ke milan ki aas
khaiyon na tu naina more, khaiyon na tu naina mohe
piya ke milan ki aas

O nadaan
o nadaan parindey ghar aaja
ghar aaja, ghar aaja, ghar aaja aa ..

Nadaan parindey ghar aaja..nadaan parindey ghar aaja
nadaan parindey ghar aaja..nadaan parindey ghar aaja
nadaan parindey ghar aaja..nadaan parindey ghar aaja
nadaan parindey ghar aaja..nadaan parindey ghar aaja

Song Name : Tum Ko
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : Kavita Subramaniam
Lyricist : Irshad Kamil

Lyrics :
Tum ko, paa hi liya, maine yun
jaise main hoon
ehsaas tera, paas main tere hoon

Tum ko, paa hi liya, paa hi liya
maine yun

Tum ko

Jahan mein, jahan pe bhi
seene se lagaale
main toh hui, ab tere hawaale
aa aa ..
bandeshein na rahi
ab yahan pe, tum ho

Tum ko, paa hi liya, paa hi liya
maine yun
jaise main hoon
ehsaas tera, paas main tere hoon
aa aa ..

Tum ho, tabhi toh
kahin bhi, ab naa dhoondna mujhe
main har jagah, milungi ab tujhe

Tum ko, paa hi liya, paa hi liya
maine yun
tu jaaniyaan, main jaanu yeh
saath main tere hoon
aa aa ..

Tum ko, paa hi liya, paa hi liya
maine yun, tu jaaniya, main jaanu saath main tere hoon

Song Name : Haawa Haawa
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : Mohit Chauhan, Viviane Chaix, Tanvi Shah, Suvi Suresh, Shalini
Lyricist : Irshad Kamil

Lyrics :
Chakri si pairo mein pahiya pahiya aiya aiya oho
aasmaan sarpat ghuma o o
nahin suna se hum ne toh o o o
rani ghoome ghoome gore gore pairo se
chik chik .. jaara, paani phir nau do gyarah
raat toh kiske aati
ik din mein joote baarah
raja ka chadh gaya para
khabri ko paas pukara
yeh kya hai maajra, dekho o
jaati kahaan hai woh
khabri ne peecha kiya
rani ko ghar se
raatoon ko do zakhme jaate dekha
haawa haawa..haawa haawa..haawa haawa..haawa haawa

(Oh ho)
Shole behke (oh ho)
rani behke (oh ho)
naach rangeele (oh ho)
sab zehreele (oh ho)
khabri chakraaya (oh ho)
ulte paanv (oh ho)
ruk gaya toh batlaaya usne
haawa haawa
rani haawa
haawa haawa haawa
nachi re magan
thoda mahiya sipaahiya
oh ho, jo naache dhaaye dhaaye
ruke na phir paaun paaun paaun
haawa haawa
dheema haya
haawa haawa
ruke na phir paaun paaun paaun
raja thall aaya
door rozaana
barah jooton ko ghis rani
kissa hai aisa oo

Haawa haawa, haawa haawa
paun ruke na, kisi ke roke
yeh toh chalenge, nach lenge
yahaan wahaan yaara masti mein

Chidh kar gusse mein bola raja
oh rani, kyun phatki meri pochi
oh naak kataayi, waat lagaayi
tune talwaahi meri izzat ki bhajiya (haye maa)
aaj se tera bandh bahar hai jaana
yeh sunkar rani muskaayi boli woh gaana
sone ki deewarein, mujhe khushi na yeh de paaye
aye ..
aazadi de de mujhe mere khuda
le le tu daulat aur kar de riha
haawa haawa..haawa haawa..haawa haawa

Machal ke, roz khul ke
jo na kiya tha, kiya gande mande bando mein
thi malang woh, apne rang ghoome phire jhoome naache
woh gore se paun paun paun
pa pa paun paun paun ..

Haawa haawa
oh rani haawa
paaun ruke na, kisi ke rokey tokey ok
yeh toh chalenge, nach lenge
yahaan wahaan, jahaan tahaan, kahaan kahaan pau
chiki chiki tara ..
haawa haawa ..

Song Name : Sheher Mein
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : Mohit Chauhan, Karthik
Lyricist : Irshad Kamil

Lyrics :
Sheher take 1

Sheher mein hoon main tere
aake mujhe mil to le
dena na tu kuch magar
aake mera dil to tu lele jaana

Dil to tu leke jaata - kya baat hai !

Take!

Sheher mein hoon main tere
aake mujhe mil to le
dena na tu kuch magar
aake mera dil to tu lele jaana
sheher mein

Cut cut
dhun thodi chhoot rahi hai
ta ra ra - thhoo..
ta ra ra - thhaa..
ta ra ra - thhoo..
phir se sun lena

Sheher mein hoon main tere
aake mujhe mil to le
dena na tu kuch magar
aake mera dil to tu le le jaana

Chitthi dali thi aaunga main tere ghar
mail bhi kiya tha maine teri id par
haay haaay! lyrics toh dhoom macha dega up bihar mein
chitthi dali thi aaunga main tere ghar
mail bhi kiya tha maine teri id par

ok! take
chitthi dali thi aaunga main tere ghar
mail bhi kiya tha maine teri id par

chitthi dali thi aaunga main tere ghar
mail bhi kiya tha maine teri id par

cut it
tum sunn nahi rahe ho yaar!

Train ka bhi
lodge ka bhi
aake zara bill to tu dede jaana

Train ka bhi
lodge ka bhi
aake zara bill to tu dede jaana

Train ka bhi
lodge ka bhi
aake zara bill to tu dede jaana

Train ka bhi
lodge ka bhi
aake zara bill to tu dede jaana

aaa..dil toh dete jaana
is sheher mein
aake mera dil toh le jaana
loo ooo...

Aaha haa re kya ringtone bani

sheher mein hoon main tere
aake mujhe mil to le
dena na tu kuch magar
aake mera dil to tu le le jaana

Chitthi dali thi aaunga main tere ghar
mail bhi kiya tha maine teri id par
chitthi dali thi aaunga main tere ghar
mail bhi kiya tha maine teri id par

Train ka bhi
lodge ka bhi
aake zara bill to tu dete jaana

Train ka bhi
lodge ka bhi
aake zara bill to tu dete jaana aa haan...

Dil to tu dete jaana
dil to tu dete jaana aaan'.....

Song Name : Kun Faaya Ku
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : A. R. Rahman, Javed Ali, Mohit Chauhan
Lyricist : Irshad Kamil

Lyrics :
Ya nizamuddin auliya
ya nizamuddin salka
kadam badha le
haddon ko mita le
aaja khalipan mein pee ka ghar tera
tere bin khali aaja khalipan mein
tere bin khali aaja khalipan mein
ooo...

Rangreza rangreza
rangreza aa.....
ho o ... rangreza rangreza

Kun fayakun kun fayakun fayakun
fayakun fayakun fayakun
kun fayakun kun fayakun fayakun
fayakun fayakun fayakun

Jab kahin pe kuch nahi bhi nahi tha
wahi tha wahi tha wahi tha
jab kahin pe kuch nahi bhi nahi tha
wahi tha wahi tha wahi tha

Woh jo mujh me samaya woh jo tujh me samaya
maula wahi wahi maaya
woh jo mujh me samaya woh jo tujh me samaya
maula wahi wahi maaya

Kun fayakun kun fayakun
sadaq allaho-l ali al-azim

Rangreza rang mera tann mera mann
le le rangaai chahe tann chahe mann
rangreza rang mera tann mera mann
le le rangaai chahe tann chahe mann

Sajra savera mere tann barse
kajra andhera teri jalti lau
sajra savera mere tann barse
kajra andhera teri jalti ki lau
qatra mila jo tere darr barse
o maulaa...
maulaa... aa...

Kun fayakun kun fayakun
kun fayakun kun fayakun
fayakun kun fayakun fayakun
fayakun fayakun fayakun
aaa
kun fayakun kun fayakun fayakun
fayakun fayakun fayakun

Jab kahin pe kuch nahi bhi nahi tha
wahi tha wahi tha wahi tha
jab kahin pe kuch nahi bhi nahi tha
wahi tha wahi tha wahi tha

Kun fayakun kun fayakun
sadaq allaho-l ali al-azim

Sadaq-al sur'aah bih-al al-qari
salallah hu alayhi wasallam

Ho mujh pe karam sarkar tera
araj tujhe kar de mujhe
mujhse hi riha
ab mujhko bhi ho deedar mera
ab kar de mujhe mujh se hi riha

Mann pe mere ye bharam
kachche mere ye karam
leke chale hain kahaan main to jaanu hi na

Tu hai mujh mein samaaya kahaan leke mujhe aaya
main hoon tujh mein samaaya
tere peechhe chala aaya
tera hi main ik saaya
tune mujhko banaya
main tto jag ko naa bhaya
tune gale se lagaya
haq tu hi hai khudaya
sach tu hi hai khudaya

Kun fayakun kun fayakun fayakun
fayakun fayakun fayakun
kun fayakun kun fayakun fayakun
fayakun fayakun fayakun

Jab kahin pe kuch nahi bhi nahi tha
wahi tha wahi tha wahi tha
jab kahin pe kuch nahi bhi nahi tha
wahi tha wahi tha wahi tha

Kun fayakun kun fayakun
sadaq allaho-l ali al-azim

Sadaq-al sur'aah bih-al al-qari
salallah hu alayhi wasallamhikari

Song Name : Katiya Karun
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : Harshdeep Kaur, Sapna Awasthi
Lyricist : Irshad Kamil

Lyrics :
Ting ling ling ..

Kateya karoon, kateya karoon
tera roop kateya karoon
tera roo tere roo
tera roo roo roo roo
saari raati kateya karoon
kateya karoon, kateya karoon
saari raati kateya karoon
kateya karoon, kateya karoon
saari raati kateya karoon
saara din sochan vich langda
tere lai hun jeeyun te marun
ting ling ling ..

Nachdi phirun, tapdi phirun
teeli main napdi phirun
hadh karoon, hadh karoon
hadh karoon roo roo roo ..
yaara bulle luteya karoon
luteya karoon luteya karoon
yaara bulle luteya karoon
mainu darr hun naiyo jag da
tere lai hun jeeyun te marun

Main saari raat kateya karoon kateya karoon
saari raat kateya karoon kateya karoon

Song Name : Jo Bhi Main
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : Mohit Chauhan
Lyricist : Irshad Kamil

Lyrics :
Ya ya ya .. oo oo

Jo bhi main, kehna chahoon
barbaad karein, alfaz mere, alfaz mere

Oo yeah yeah oo ..

Kabhi mujhe lagey ke jaise, saara hi yeh jahaan hai jaage
jo hai aur nahin bhi hai, yeh fiza ghata hawa bahaarein
tujhe kare ishaare ya
kaise kahun, kahani main inki

Jo bhi main, kehna chahoon
barbaad karein, alfaz mere, alfaz mere

Oo yeah yeah oo ..

Song Name : Phir Se Ud Chala
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : Mohit Chauhan
Lyricist : Irshad Kamil

Lyrics :
Oo .. ho ho ..
phir se ud chala
ud ke choda hai jahaan neech mein tumhare ab hoon hawale
door door log baag meelon door yeh vaadiyan

Ghar, dhuaan dhuaan tan har badli chali aati hai choone
aur koi badli kabhi kahi kar de tan geela yeh hai bina ho
kisi manzar par main ruka nahin
kabhi khud se bhi mein mila nahin
yeh gila toh hai main khafa nahin
shehar ek se, gaon ek se
log ek se, naam ek oo ..

Phir se ud chala main
pitti jaise sapne yeh kitaabi palkon se jhaado phir aa jaate hain

Itne saare sapne kya kahoon
kis tarah se maine tode hain chode hain, kyun
phir saath chale, mujhe le ke ude yeh kyun oo ..

Kabhi daal daal, kabhi paat paat
mere saath saath, phir dar dar yeh
kabhi sehera, kabhi saavan
banu raavan kyun mann manke
kabhi daal daal, kabhi paat paat
kabhi din hai raat, kabhi dinmin hai
kya sach hai, kya maya, hai daata, hai daata

Idhar uudhar, titar bitar
kya hai pata, hawa liye jaye teri ore
kheenche teri yaaden teri yaaden teri ore

Rang birange vehmon mein, main udaas kyun

Rang birange vehmon mein, main udaas kyun

Oo .. ho ho ..

Song Name : Tum Ho
Cast : Ranbir Kapoor, Nargis Fakhri
Music : A. R. Rahman
Singers : Mohit Chauhan, Suzanne D’Mello
Lyricist : Irshad Kamil

Lyrics :
Oh ho ..
Tum ho
tum ho paas mere, saath mere ho tum yun
jitna mehsoos karoon tumko utna hi paa bhi loon

Tum ho mere liye, mere liye ho tum yun khud ko main haar gaya tumko
tumko main jeeta hoon
oh ho .. tum ho

Kahin se kahin ko bhi aayoge waja chale
pooche bina kisi se hum miley

Bandihsein na rahi koi baaki, tum ho
tum ho paas mere, saath mere ho tum yun
jitna mehsoos karoon tumko itna hi paa bhi loon
oh ho ..

Kis tarah cheenega, mujhse yeh jahaan tumhe
tum bhi ho main kya fikar ab hume

Tum ho mere liye, mere liye ho tum yun
khud ko main haar gaya tum ko, tum ko main jeeta hoon
Oh ho .. tum ho ..

0 comments:

Post a Comment

Powered by Conduit